Thursday 15 August 2013

INDEPENDENCE (AAZADI)

Image courtesy : http://325pixels.blogspot.in/2012/08/awesome-indian-flag.html

Aaj itna azaad hoon main ki raahein to bahut hai par manzil ka thikana na raha. 
Udta chala ja raha hai man apni hi dhun mein. 
Kadam tikte nahi zameen pe, na zehen mein rehta koi khyal naya.
Bus azaadi ki lat mein choor hoon, madhosh hoon. 
Na bandhan hai, na bediyaa jo roke mujhe. 
Dekho chala main kis ore khabar nahi mujhe. 
Par kya aisi azadi chahi thi maine
Kya aisi azaadi chahi thi ki manzilon ka thikaana na rahe? 
Kya aisa josh manga tha ki phir mujhe hosh na rahe?

Aaj phir ghulami chahta hoon pehna do bediyaan mujhe. 
Baandh do is kadar ki bhatku na in raahon mein. 
Is kadar ho bandishe ki josh mein to rahun magar hosh kam na ho. 
Itni bandishe phir rahein mujh par ki khyal rahe gairo ka bhi aur sochu na mehez zehen se; dil ka bhi istemaal karu.

Ghulami zaroori hai azaadi ke baad. 
Nahi to us udte gubbare ki tarah uche to ud jaaenge magar manzil ka thikana maalom na hoga. 
Ghulami zaroori hai insaaniyat ki, nahi to bhatka krenege galiyon mein aur sukoon na hoga kabhi. 
Ghulami zaroori hai mohabbat ki nahi to nafrat ki aag mein dil phir sulag jaega.

Dua hai, rahe azaadi hardum phir bhi aaj ek khwahish hai ki us azaadi ke saath mil jaae thodi ghulami mujhe jo in behekte kadamo ko sahi raah, sahi manzil dikha sake.

© Shreyansh Chouradia

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...