Tuesday 14 May 2013

SANGHARSH




Humein bhi  mushkilon ka maza lene do zara
Ladkhada kar hi sahi, Aage badhne to do zara
Uchhalte hue jo gir jaaun, to  mujhe na uthana
Yun uchhalkar mujhe aasmaan chhoone do zara.

Kaanto ki chubhan sehkar, phoolon ko chunne do zara
Adhure jo khwab reh gaye the, un khwabon ko fir bunne do zara
Cheekhon aur siskiyon ke shor ke is bazaar mein
Khamoshiyon ki meethi dhun ko sunne do zara.

Maidan-e-zindagi mein rookhi sookhi ye ghaas hai
Na jaane kyun majbooriyaan aas paas hai
In majbooriyon se aaj mujhe bhidne do zara
In sookhi ghaason mein shabnam ki boondein girne do zara.

Aaj is dhool mein, is gard mein, kho jaane do zara
Kaanto ki kantili mez par, so jaane do zara
Jo gir bhi gaya in pathrili raahon mein chalte chalte
Khud ba Khud apne pairo par khade ho jaane do zara.

Tapte suraj ko nangi aankhon se takne do zara
Jalti chingariyon ko ab chakhne do zara
Yun mujhko patthar samajhkar fizool na samajhna
Sona hoon main, angaaron mein kuch der tapne do zara.

Humein bhi mushkilon ka maza lene do zara
Ladkhada kar hi sahi aage badhne do zara…

© Shreyansh Chouradia

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...